Sunday, February 8, 2009
कल हो ना हो ....
आज एक बार सबसे मुस्करा के बात करो
बिताये हुये पलों को साथ साथ याद करो
क्या पता कल चेहरे को मुस्कुराना
और दिमाग को पुराने पल याद हो ना हो
आज एक बार फ़िर पुरानी बातो मे खो जाओ
आज एक बार फ़िर पुरानी यादो मे डूब जाओ
क्या पता कल ये बाते
और ये यादें हो ना हो
आज एक बार मन्दिर हो आओ
पुजा कर के प्रसाद भी चढाओ
क्या पता कल के कलयुग मे
भगवान पर लोगों की श्रद्धा हो ना हो
बारीश मे आज खुब भीगो
झुम झुम के बचपन की तरह नाचो
क्या पता बीते हुये बचपन की तरह
कल ये बारीश भी हो ना हो
आज हर काम खूब दिल लगा कर करो
उसे तय समय से पहले पुरा करो
क्या पता आज की तरह
कल बाजुओं मे ताकत हो ना हो
आज एक बार चैन की नीन्द सो जाओ
आज कोई अच्छा सा सपना भी देखो
क्या पता कल जिन्दगी मे चैन
और आखों मे कोई सपना हो ना हो
क्या पता
कल हो ना हो ....
Tuesday, January 20, 2009
Nanha sa ladka tha jin dinoon....

Ek chota sa, nanha sa ladka tha main jin dinoon
Ek mele main pahuncha jhoom kar chalta hua.............
Ji machalta tha mera, Har kisi shay per magar
Jaib khali thi or mai kuch Kharid hi na saka.............
Lot aaya dil mai liye, hasratain main sainkaroon
Ek chota sa, nanha sa ladka tha main jin dinoon.............
Khair mehromioon kay wo din toh ab chale gaye
Aaj mela laga... phir laga hai apni usi purani shaan se.............
Aaj chahoon to Har Ek dukaan Kharid loon main
Aaj chahoon to sara jahan kharid loon main.............
Par ab dil mai mere wo andaaj dhadka kahan?
Par ab woh chota sa, wo alhar sa ladka kahan.............
Saturday, January 17, 2009
PYAAR.....
Pyaar ka dusra naam judai hai fir bhi insaan pyar kyun karta hai?reh reh k umeeday totti hai ismay fir bhi kisi pe aitbaar kyu karta hai?
kabhi maa baap raazi nahi hotay to kabhi haalaat apna khel khel jati hai,
na janay pyar me aisi kaun si shakti hai to chuppi sadhay ye sabkuch jhel jati hai.
koi pyar me bichar jata hai to koi apni jaan gawata hai,
koi dilo ko torta hai to koi jism se jism milata hai..
yadi lagta hai ki pyar pura nahi kar saktay to suruwat kartay kyun ho yaro,
jab pyar karnay ki galti kar baithtay ho to maa baap se dartay kyun ho pyaro.
agar kisi k sapno ko pura nahi kar saktay to un sapno ko dikhatay kyun ho,
de nahi saktay kisi ko chand pal ki khushiya to unhay zindgi bhar rulatay kyun ho.

pyar dhai sabdo ka maill hai par eska roop vishal hai,
jodiya upar se ban k aati hai,ye bhi to kudrat ka hi ek kamaal hai.
waipaar mat karo pyar ka,pyar se pyar karo,
agar kar baithay pyar karnay ki galti to fir ab kisise mat daro.
Friday, December 26, 2008
Kuch Rishte aise bhi...

zindagi me kabhi kabhi kuch aise rishtey bante hain jinka koi naam nahi hota,
koi pehchaan nahi hoti ye main isliye likh raha hu kyuki aisa ek baar mere saath bhi huaa hai...
kisi k saath mera bhi rishta juda tha lekin shayad ab wo rishta rishta nahi raha,
hum dono ki manzil alag alag ho gayi hai ab wo kahin aur or main kahin aur...
mujhe aisa sunne main aaya hai ki ab to uski wedding bhi ho gayi hai anyway hum baat kar rahe the rishton ki to wo kuch sukoon ke pal jo in rishton ki badaulat hamko naseeb hote hain wo bade anmol hote hain,
kuch rishtey benaam hi reh jaayein to hi achcha rehta hai.
ye rishtey hamari himmat bhi hote hain aur kai baar anjane me hi hamare muskurane ki wajah bhi,
kuch sawaal aise hote hain jinka koi jawaab nahi hota,
kuch pareshaniyaan aisi hoti hain jinka koi hal nahi hota,
par zindagi kahin bhi theharti nahi hai, ye apni gati se badhati hai...
aur iske saath me badhate hain hum...
par ye bhi sach hai ki zindagi jeene me aur katane me bahut fark hota hai...
tareef ki baat to tab hai jab dard me bhi lab muskurate rahein.
Hum zindagi ke nagme gungunate rahein aur aane wale kal ka besabri se intezaar karein.
ek aise kal ka jo yakeenan aaj se behtar hoga.
hazar takleefein jhelte hue bhi zindagi ko zindadili se jeene wale sabhi logon ko mera salaam.

~~kAmLeSh PaRiHaR~~
Tuesday, December 23, 2008
Ek din fursat ne....

ek din fursat ne, thaame haath hamare,
le gayi us dagar pe, jahan rehti hain baharein.
chal diye hum bhi ghar se, ho ke kuch bekhabar se,
dil tha apne bharose, hum the dil ke sahare.
raah me mod aaya, roshni ho gayi kam,
kuch dil ghabraya, ye kahan aa gaye hum
aage us mod ke bhi to baharein nahi thi
bhooli kuch khwahishein aur, khwab the bas hamare.
bewajah lag rahi thi, jab talash hamari,

ek khushbu uthi aur rut badal gayi saari,
saamne tum khade the, faila ke baahen
jaise har dard mera khud me loge samaye
pal bada mukhtasar tha, tere seene pe sar tha,
yun laga mar na jayen itni khushiyon ke mare.
ek din fursat ne thame haath hamare,
le gayi us dagar pe, jahan rehti hain baharein.
....shayad ye har insaan ka sapna hota hai ki koi aisa uski zindagi me aaye jo na sirf use khush rakhe balki uske aansu baantne se bhi na katraye. aise hi jazbaaton ko samne lata hai ye gana. ek lambe intejaar ke baad aayi hui khushi aur us khushi se chalke hue aansuon ki jhalak hai is gaane me..
Friday, December 19, 2008
MAA....!!!

Maa k anchal ko chor k beghane sehar me aa baitha hu,
thodi si chot pahuchtay hi maa ko yaad kiya karta hu.....
jab bhi akela baitha rehta hu unki yaad aati hai,
'beta' sunne ko ab kaan tarastay hai aur ankhain bhar jati hai....
hotel k pakwaan bhi fikay pad jate hai,
jab bhi maa k hantho ki bani rotiya yaad aati hai....
maa ka laadla hone k baad bhi aaj unse door rehta hu,
is liye mai khud ko kismatwala nahi balki badnaseeb kehta hu.....
maa tere hantho se ek niwala khanay ko dil taras raha hai,
jodhpur ka har pal ek kehar ban k mujhpay baras raha hai...
apne bete ko ghar wapis bula le,
fir se apne goud me mera sir rakh k mere baloo ko sehla de.....
mujhe jodhpur raas nahi aaya, mera jee nahi lagta hai,
puri azaadi milnay k baad bhi najanay ghar ki aur maan bhatakta hai....
tu chinta na kar, main ghar jaldi hi aaunga,
fir se tere hantho ki rotiya khaunga aur tujhse door na jaaunga.....
written by:
Kamlesh Parihar
(2/6/2007)
Tuesday, December 16, 2008
WISHWASS....
Insaan hu is liye paane ki ichaa se door nahi ja pata hu,
purani yaadein bhulana chahta hu par din be din unke kareeb aata hu...
kuch beetain pal maan me taklifye paida kar dete hai,
to kuch beetain pal chehre pe hassi ki fuljhariya bhar dete hai....
sikke k do pehlu ki tarah jeewan k bhi dono pehlu ko dekh liya,
jiski talaas me nikla tha, pass aane pe usi ka daaman chor diya....
waqt bhi na janay kaise kaise halaat paida kar deta hai,
ek pal me khushiya deta hai to dushre pal sabkuch chin leta hai....
mazburiyoo ne mutthi me mujhay jhakhda hua hai is liye kuch nahi kar pata,
shaayad aaj mazboori na hoti to jo loog sapne me soochtain hai, mai wo kar jata....
khushiya kabtak mujhse ruthi rahaingi,wapis wo mere ghar ki aur ghumaingi,
kal tarakki mujhe taj paihnaygi aur kaamyabhi mere kadam chumaingi......
kyu sahi kaha na....
Agar dil haa kehta hai to fir comment main koi kasar na chodna plz....Dil se darkhwast hai
aage aap par aashrit hai... agar response accha mila to continue...
warna Bharat Mata ki jai...
